Lahsun Lagane Ka Mukammal Tarika
Lahsun ko English mein “Garlic” kaha jata hai. Lahsun har
kitchen ki zaroorat hai. Koi bhi kitchen, khaas tor par Pakistan aur India
mein, aisa nahin ho ga jis mein lahsun mojood na ho ya jis mein lahsun istemal na
kiya jata ho.
Lahsun ko ugana bohat hi aasan hai. Aap lahsun ko apne chote
se baagiche (garden) mein uga sakte hain. Is ke ilawa aap ghamlon mein bhi lahsun
laga sakte hain.
Lahsun Ugane Ya Lagane Ke Liye Zaroori Cheezein
1. Zameen
Lahsun ugane ke liye sab se pehli zaroori cheez hai zameen. Lahsun
ke liye narm aur zarkhaiz mitti (fertile soil) wali zameen behtar rehti hai.
Aisi zameen jis mein pani jaldi jazb ho jata ho is ke liye behtar hoti hai. Kyon
keh pani khara hone se lahsun ki jarein (roots) gal sakti hain.
2. Lahsun Ki Ganth (Bulb)
Lahsun ugane ke liye aap ko lahsun ki ganthon ko tor kar
cloves ko alag alag karna hota hai. Har clove ek beej ka kaam karti hai. In
cloves ko mitti mein lagaya jata hai. Har clove se lahsun ka ek poda nikalta
hai.
3. Waqt
Lahsun ugane ka sab se acha aur sahi waqt sardiyon ka mosam
hai. Yani October se November ke darmiyan. Yeh woh waqt hai jab mosam thanda
hona shuru hota hai.
Lahsun Ugane Ka Tarika
1. Mitti Ki Tayari
Sab se pehle zameen ya ghamle ki mitti ko narm kar len. Is
mein thori si gobar ki khaad bhi shamil kar len. Is se mitti zarkhaiz ho jaye
gi. Is ke baad mitti ko level kar len.
2. Cloves Ko Mitti Mein Lagana
Mitti ko tayar aur level karne ke baad, lahsun ki cloves len
aur un ko mitti mein 1 se 2 inch ki gehrai (depth) tak laga den. Har clove ke
darmiyan 4 se 6 inch ka fasla rakhen. Is se lahsun ke podon ki growth behtar ho
gi.
3. Cloves Lagane Ka Sahi Tarika
Clove lagate waqt is ka nokeela hissa oper ki taraf aur jaron
wala hissa neeche ki taraf hona chahiye. Aap tasveer mein dekh sakte hain clove
ke nokeele hisse ko circle kiya hua hai. Yeh hissa oper ki taraf hona chahiye.
4. Pani Dena
Lahsun ki cloves lagane ke baad foran halka halka pani den.
Lahsun Ugane Ke Baad Zaroori Dekh Bhaal
Lahsun ki fasal ki behtar growth ke liye in baaton ka khayal
rakhen:
1. Pani Kab Dena Hai?
Lahsun ko zyada pani ki zaroorat nahin hoti. Sirf tab pani
dena hai jab mitti thori thori sookhne lage. Zyada pani se lahsun ki jarein gal
jati hain.
2. Khaad Kab Deni Hai?
Lahsun ko barhne ke liye zyada khaad ki zaroorat nahin hoti.
Bas shuru mein thori si gobar ki khaad kafi hai.
3. Kiyari Ko Saaf Rakhen
Lahsun ke podon ke darmiyan se ghaas-phoos (weeds) ko nikaalte
rahen. Kiyari mein lahsun ke podon ke ilawa koi jari-booti waghera nahin honi
chahiye. Kiyari ko saaf rakhne se lahsun ki growth behtar ho gi.
Lahsun Ki Fasal Kitne Waqt Mein Tayar Ho Jati Hai?
Lahsun ki fasal taqreeban 6 se 8 mahine mein tayar ho jati
hai. Jab poday ke patte (leaves) peele ho kar sookhna shuru ho jayen to is ka
matlab hai keh lahsun nikaalne ke liye tayar hai.
Ahtiyat (carefully) se lahsun ko zameen se nikaal len aur dhoop mein sukha kar istemal karen.
Hari Mirch Kaise Ugate Hain? | In Urdu | How to Grow Chillies?
0 Comments