Advertisement

Snake Plant Lagane Ka Sahi Tarika | Full Information in Urdu

 

Snake Plant Lagane Ka Sahi Tarika

Snake Plant Kya Hai?

Snake Plant ek poday ko kaha jata hai. Is ka asal naam Sansevieria Trifasciata hai. Yeh ek aisa poda hai jo hamesha hara-bhara rehta hai. Yeh poda apni lambi, patli aur tez nok-daar pattiyon ki wajah se mashhoor hai. Is ki pattiyan saanp ki khaal ke jaisi nazar aati hain. Is liye hi is poday ka naam snake plant para hai.

Snake Plant Ko Kis Liye Ugaya Jata Hai?

Snake plant apni khoobsurat aur lambi pattiyon ki wajah se gharon, daftaron aur deegar jaghon ko sajane ke liye istemal kiya jata hai. Ye kisi bhi kamre mein ek modern aur stylish look deta hai. Is ko kamre ke andar aur bahir dono jaghon par lagaya ja sakta hai.

Snake Plant Ke Fayde Kya Hain?

1. Hawa Ko Saaf Karta Hai

NASA ki tehqeeq ke mutabiq, yeh poda hawa mein mojood kuch zehrele chemicals ko jazb kar leta hai. Jis se ghar ke andar ki hawa saaf ho jati hai.

2. Raat Mein Bhi Oxygen Kharij Karta Hai

Zyada tar poday raat ke waqt oxygen banana band kar dete hain. Lekin snake plant aisa nahin karta. Ye poda raat mein bhi oxygen kharij karta rehta hai. Isi wajah se is poday ko bedroom mein rakhne ke liye ek behtareen poda mana jata hai.

3. Dekh-Bhaal Mein Aasan

Agar aap ko poday lagane ka zyada tajurba nahin hai phir bhi aap snake plant ko uga sakte hain. Is ko kam pani aur kam roshni mein bhi aasani se ugaya ja sakta hai. Yeh poda ghaflat ya bhool-chook ko bhi bardasht kar leta hai.

Snake Plant Ko Lagane Ka Sahi Tarika

Snake plant ek behtareen indoor poda hai. Is ki dekh-bhaal karna bohot aasan hota hai. Yeh kam roshni mein bhi achhi tarah se growth kar sakta hai. Agar aap bhi apne ghar mein is poday (snak plant) ko ugane ja rahe hain to is article mein diye gaye aasan tareeqon par amal karen.

Snake Plant Lagane Ka Pehla Tarika

Yeh snak plant lagane ka sab se aasan aur tez tarika hai. Is tareeqe mein snak plant ka poda khareed kar lagaya jata hai.

1. Ek Sehatmand Poda Khareedna

Nursery ya podon ki kisi dukan se ek sehatmand (healthy) snake plant khareedein. Aisa poda khareeden jis ki pattiyan lambi, gehre rang ki aur sakht (firm) hon.

2. Mitti Jaldi Khushk Hone Wali Ho

Snake plant ko lagane ke liye aisi mitti honi chahiye jo jaldi khushk ho jati ho. Aisi mitti jo pani ko jama na hone de. Aap mitti mein 30% rait (sand) mila kar mitti ko halka kar sakte hain.

3. Gamlay Mein Drainage Hole Lazmi Ho

Snake plant lagane ke liye gamla aisa ho jis ke neeche pani ke nikalne ke liye sorakh (drainage holes) hon. Yeh bohot zaroori hai. Kyun keh gamle mein zyada pani jama hone se poday ki jaren (roots) gal sakti hain.

4. Poday Ko Gamle Mein Lagana

Sab se pehle gamle ke neeche thori mitti dhaal lein. Is ke baad poday ko us ke purane gamle se aaram se nikaal kar naye gamle mein rakhen aur chaaron taraf se mitti se bhar den. Is baat ka dhayan rakhen ke poday ki jaren (roots) bilkul na tooten.

Snake Plant Lagane Ka Doosra Tarika

Is tareeqe mein poday se hi naya poda tayyar kiya jata hai. Snake plant lagane ka yeh tarika thora lamba hai. Lekin is tareeqe se aap ek poday se kai poday bana sakte hain.

1. Patti Ka Intekhab

Snake plant se ek sehatmand aur moti patti (leaf) ko select karen. Is patti ko base se kaat len. Aap patti ko 2 se 3 inch ke tukron mein bhi kaat sakte hain.

2. Patti Ko Pani Ya Mitti Mein Lagana

Ab aap ne is patti ko pani mein ya mitti mein lagana hai.

  • Patti Ko Pani Mein Lagana

Ek glass mein pani bhar kar patti ke nichle hisse ko is mein daal den. Glass ko aisi jagah par rakhen jahan roshni aati ho. Lekin seedhi dhoop na aati ho. Har do din ke baad glass ke pani ko change karna hai.

Kuchh hafton ke baad jarein nikalne lagen gi. Jab jarein 2 inch tak lambi ho jayen to is ko mitti mein laga den.

  • Patti Ko Mitti Mein Lagana

Snak plant ki patti ke tukre ko seedhe mitti mein laga dena hai. Mitti ko thora nam kar lena hai. Patti ke tukre ko lagane ke baad pani nahin dena. Sirf jab mitti khushk mehsoos hone lage tab hi pani dena hai.

Snake Plant Ki Zaroori Dekh-Bhaal

1. Roshni

Snake plant kam roshni mein bhi zinda reh sakta hai. Lekin yeh munasib roshni (seedhi dhoop na ho) mein zyada achhi tarah se growth karta hai. Is ko khirki ke paas rakhna zyada behtar hota hai.

2. Pani

Snake plant ko zyada pani ki zaroorat nahin hoti. Gamle ki mitti ko pehle achhi tarah se khushk hone den, phir pani den. Yeh aam tor par garmiyon mein 2 se 3 hafton ke baad aur sardiyon mein 1 se 2 mahinon mein pani maangta hai.

3. Khaad (Fertilizer)

Snake plant ko zyada khaad ki bhi zaroorat nahin hoti. Saal mein ek baar, garmiyon ke mosam mein, khaad ka istemal kiya ja sakta hai.

Aap ne dekha keh Snake Plant ke fayde to bohat hain lekin is poday ko bohat zyada dekh-bhaal ki zaroorat nahin hoti. In aasan tareeqon par amal kar ke aap bhi apne ghar mein ek sehatmand aur khoobsurat snake plant laga sakte hain.

Post a Comment

0 Comments