Ghar Par Aloe Vera Ka Poda Uagane Ka Tarika
Aloe Vera ek aisa poda hai jo apne fawaid ki wajah se duniya
bhar mein bohat mashhoor hai. Is ka gel jild (skin) aur baalon ke liye bohat
mufeed hai. Is ke ilawa hazmay ke masail mein bhi madadgar sabit hota hai.
Aap ke liye achhi khabar yeh hai keh Aloe Vera ko ghar par
ugana nihayat hi aasan hai. Agar aap bhi apne ghar mein is fawaid se bharpoor
pode ko lagana chahte hain to yeh article aap ke liye hi hai. Is page par aap
Aloe Vera ko ugane ka mukammal tarika Urdu mein parhein gay.
Aloe Vera Ugane Ke Liye Zaroori Cheezein
1. Aloe Vera Ka Sahi Poda
Sab se pehle, aap ek sehatmand aloe vera ka poda dhoonden.
Aap nursery se ek chhota poda khareed sakte hain ya kisi dost ke pode se “Pup”,
yaani wo chhota sa naya poda jo bare pode ke paas uga hota hai, le sakte hain.
Pups ko bare pode se alag karna aasan hota hai aur yeh jaldi
barh jate hain. Poda select karte waqt dekhen keh us ke patte motay aur taza
hon. Patton par kisi beemari ya keeron ke nishanaat na hon.
2. Gamla Aur Mitti
Aloe vera ko aise gamle ki zaroorat hoti hai jis mein pani ke
nikalne ka achha system ho. Is ke liye mitti ke gamle behtar rehtay hain kyun keh
woh hawa ko guzarne dete hain aur extra pani ko jazb kar lete hain.
Gamla Kis Tarah Ka Ho?
Aloe vera ka poda ugane ke liye aap ke paas ek aisa gamla hona
chahiye jo pode ke size ke mutabiq ho. Gamle mein pani ke nikalne ke liye drainage
holes bhi zaroor hon.
Mitti Kis Tarah Ki Ho?
Aloe vera ko aisi mitti pasand hoti hai jo jaldi khushk ho
jaye. Aap aam baagh ki mitti mein thori si rait (sand) ya perlite mila kar isay
behtar bana sakte hain taake is mein pani jama na ho.
Poda Gamle Mein Lagane Ka Tarika
Jab aap ke paas aloe vera ka poda, gamla aur mitti teno
cheezein hon to poda lagane ka tarika yeh hai:
Gamle ke neeche jo pani ke nikalne ke liye hole hai us par ek
chhota pathar ya jaali rakh den taakeh mitti bahir na nikal sake.
Gamle mein thori si mitti daalein. Pode ko us ke purane gamle
se ahista se nikaalen aur koshish karen ke jaron (roots) ko koi nuqsan na ho.
Agar aap pup laga rahe hain to usay bare pode se ehtiyat se alag karen.
Pode ko gamle ke beech mein rakhen aur gamle ko mitti se bhar
den. Patton ke base ko mitti se bahir rakhen. Patte mitti mein dabe nahin hone
chahiye. Mittti ko halka halka sa daba den taake poda mitti mein stable ho
jaye.
Pani Kab Aur Kitna Dena Hai?
Aloe vera ke pode ko kam pani ki zaroorat hoti hai. Yeh sab
se aam ghalti hai jo log karte hain aur is se poda kharab ho jata hai.
Pani Kab Dena Hai?
Mitti ko pehle mukammal tor par khushk hone den. Apni ungli
se mitti mein 2 se 3 inch gehrai tak check karen. Jab mitti bilkul khushk ho
tab hi pani den.
Pani Kitna Dena Hai?
Sirf itna pani den ke woh gamle ke neeche ke drainage hole se
bahir nikal jaye. Zyada pani ko gamle mein jama na hone den.
Kis Mosam Mein Kitna Pani Dena Hai?
Aloe vera ke pode ko garmiyon mein pani ki zaroorat thori
zyada hoti hai. Lekin sardiyon mein bohat kam pani den.
Pode Ko Kitni Dhoop Ki Zaroorat Hoti Hai?
Aloe vera ke pode ko roshan jagah pasand hoti hai. Lekin
direct aur tez dhoop se aloe vera ke pode ko bachana chahiye. Direct aur tez
dhoop se is ke patte jal sakte hain.
Aloe Vera Ke Pode Ke Liye Ideal Jagah Konsi Hai?
Aloe vera ke pode ke liye aisi jagah ideal hai jahan is par
tez aur direct dhoop na parti ho. Misaal ke tor par aap is ko khirki ke paas rakh
sakte hain jahan subah ki halki halki dhoop aati ho ya kisi parday ke peechhe
rakh sakte hain.
Aloe Vera Ko Bahir Lagate Waqt Jagah Kaisi Ho?
Agar aap aloe vera ke pode ko bahir laga rahe hain to aisi
jagah ko select karen jahan din ke garam hisse mein is ke oper koi saya (shade)
ho.
Pode Ko Kitni Khaad (Fertilizer) Ki Zaroorat Hoti Hai?
Aloe vera ke pode ko zyada khaad ki zaroorat nahin hoti. Saal
mein ek ya do baar, garmiyon ke mosam mein, halki miqdar mein liquid fertilizer
de sakte hain. Sardiyon mein khaad dene se gurez karen.
Pups Ko Alag Kaise Karna Hai?
Jab aap ka poda bara ho jaye aur us ke paas naye chote chote pode
(pups) ugne lagen to aap un ko alag kar ke aloe vera ke naye pode bana sakte
hain.
Pups Ko Alag Karne Ka Tarika
Sab se pehle mitti ko halka sa geela karen. Bare pode ko
gamle se bahir nikaalen. Pups ko ehtiyat se bare pode se alag karen aur koshish
karen keh har pup ke sath us ki apni jarein (roots) hon.
Har pup ko alag se gamle mein laga den aur bilkul usi tareeke
se jaise aap ne pehle poda lagaya tha.
Aloe Vera Ke Pode Ke Aam Masail
Patton Ka Peela Hona
Aloe vera ke patton ka peela hona aksar zyada pani dene ki
wajah se hota hai. Pani kam den aur mitti ko khushk hone den.
Patton Ka Bhora Hona Ya Jalna
Aloe vera ke patton ka bhora hona bohat zyada direct dhoop ki
wajah se hota hai. Pode ko kisi aisi jagah par rakhen yahan saya bhi ho.
Pode Ka Nash-o-Numa Na Karna
Aisa kam roshni ya nutrient ki kami ki wajah se ho sakta hai.
0 Comments