Gulab Ka Poda (Plant) Lagane Ka Sahi Aur Aasan Tarika
Apni khoobsurati aur mehak ki wajah se Gulab ka poda har ghar
mein pasand kiya jata hai. Yeh ek aisa poda hota hai jis ko aap ghar, school,
daftar, masjid ya kisi bhi jagah par laga sakte hain. Is ko jis bhi jagah par
lagao yeh us jagah ki khoobsurati mein izafa karta hai.
Gulab ke poday ko kisi bhi jagah par lagana bilkul bhi mushkil
nahin hota. Is page par hum aap ko gulab ka poda lagane ka mukammal tarika,
sahi waqt aur zaroori dekh-bhaal ke mutaliq roman Urdu mein batane ja rahe hain.
Gulab Ka Poda Lagane Ka Sahi Waqt
Gulab ka poda lagane ka sab se behtar aur sahi waqt October
se November aur February se March ke mahinay hain. Yeh wo waqt hota hai jab mosam
na zyada garam hota hai aur na zyada thanda hota hai. Yeh mahine gulab ke poday
ki sahi nashonuma (growth) ke liye bohot munasib hain.
Gulab Ka Poda Lagane Ke Tareeqe
Gulab ke poday ko 2 tarah se lagaya ja sakta hai:
1. Gulab Ki Qalam (Cutting) Se Poda Lagana
Yeh sab se aasan aur aam tarika hai. Is ke liye kisi
sehatmand gulab ke poday se 6 se 8 inch tak lambi aur 45 degree ke angle par
kati hui tehni (cutting) lein. Is ko gulab ki qalam kaha jata hai.
Qalam Ko Pani Mein Bhigona
Qalam ko raat bhar pani mein bhigo kar rakhen taa ke woh pani
ko jazb kar sake.
Qalam Ko Mitti Mein Lagana
Is ke baad qalam ko pani se nikaal kar kisi achi, narm aur
nam (moist) mitti mein laga dein. Aap is ko gamle mein bhi laga sakte hain aur
kiyari mein bhi laga sakte hain. Qalam ko lagate waqt mitti mein compost
(khaad) mila kar aap mitti ki quality ko behtar bana sakte hain.
2. Gulab Ka Poda Khareed Kar Lagana
Doosra trika hai nursery se bana banaya gulab ka poda khareed
kar lagana. Gulab ke khareede hue poday ko gamlay (pot) ya zameen mein lagane
ke liye in steps ko follow karein.
Gamla Ya Kiyari
Aap is poday ko gamle mein bhi laga sakte hain aur kiyari
mein bhi laga sakte hain. Agar aap gamle mein laga rahe hain to kisi aise gamle
ka intekhab karein jis ke bottom mein pani nikaalne ke liye sorakh (hole) ho.
Mitti Yayar Karna
Poday ko gamle ya kiyari mein lagane se pehle mitti ko thora
naram kar lein. Aap mitti mein gogar ki khaad bhi mila sakte hain. Is se mitti
ki quality behtar ho jati hai aur poday ko ugne mein aasani hoti hai.
Poday Ko Mitti Mein Lagana
Poday ko us ke plastic bag se ehtiyat (carefully) se nikaal
kar tayar shuda gamle mein ya kiyari mein laga dein.
Gulab Ke Poday Ke Liye Zaroori Dekh Bhaal Aur Hifazat
1. Gulab Ke Poday Ko Kitni Dhoop Ki Zaroorat Hoti Hai?
Gulab ke poday ko din mein kam se kam 5 se 6 ghante ki seedhi
dhoop (sunlight) ki zaroorat hoti hai.
2. Gulab Ke Poday Ko Pani Kitna Dena Hota Hai?
Gulab ke poday ko itna pani dena hota hai keh zameen ya gamle
ki mitti hamesha nam rahe. Magar zyada pani nahin dena. Jab mitti ki oper ki
satah (top layer) halki halki si khushk (dry) hone lage tab pani dena hai.
3. Gulab Ke Poday Ko Khaad Ki Zaroorat Hoti Hai?
Gulab ke poday ko khaad ki koi khas zaroorat to nahin hoti.
Lekin agar aap chahe to har 15 se 20 din ke baad poday ko gobar ki khaad de
sakte hain.
Note: Agar mitti zarkhez nahin hai to phir khaad dena behtar
hai.
Gulab Ke Poday Ke Liye Mufeed Tip
Gulab ke murjaye (withered) hue phoolon ko aur fazool tehniyon (branches) ko kaat diya karen. Is se poday ki growth achi ho gi aur naye phool lagen ge.
0 Comments