Ghar Par Nimbu Ka Poda Lagane Ka Tarika
Kya aap apne ghar mein nimbu (lemon) ka poda lagane ja rahe
hain? Agar aisa hai to aap ko yeh jaan kar khushi ho gi keh lemon ka poda ghar
par lagaya ja sakta hai.
Lemon ka poda lagana bilkul bhi mushkil nahin hai. Neeche
tafseel ke sath roman Urdu mein wo tarika bataya ja raha hai jis ko follow kar
keh aap apne ghar mein lemon (nimbu) ka poda laga saken ge.
Lemon (Nimbu) Ka Poda Lagane Ke Liye Zaroori Cheezein
1. Sahi Jagah Ka Intekhaab
Nimbu ka poda lagane se pehle sahi jagah ka intekhaab karna
bohat zaroori hota hai. Sahi jagah ka intekhaab karne se poday ki nashonuma
(growth) achi hoti hai aur poda phal zyada deta hai.
Lemon ke poday ko zyada dhoop ki zaroorat hoti hai. Din mein
kam se kam is ko 6 se 8 ghante ki dhoop ki zaroorat hoti hai. Is liye, koi aisi
jagah honi chahiye jahan poday ko din mein itni dhoop mil sake.
2. Sahi Mitti (Soil) Wali Jagah
Doosri ahm cheez hai mitti. Aap ne jis jagah par nimbu ka
poda lagana ho us jagah ki mitti aisi honi chahiye jo achi tarah se pani ko
jazb kar sake lekin us mein pani jama na ho.
Nimbu Ka Poda Lagane Ke Tareeqe
Lemon ka poda lagane ke do tareeqe hain:
1. Beej Se Poda Ugana
Yeh tarika sab se aam hai. Ek taza nimbu ka beej lein aur us
ko 2 se 3 din tak pani mein bhigo den. Phir is beej ko oper batayi gayi mitti
mein 1 inch gehra dafan kar den. Gamle ko dhoop mein rakhen aur mitti ko nam
rakhen.
Note: Beej se lemon ka poda ugane par phal lagne mein kai
saal lag sakte hain.
2. Nursery Se Nimbu Ka Poda Khareedna
Agar aap jald phal haasil karna chahte hain to sab se behtar
hai keh kisi achhi nursery se grafting kiya hua nimbu ka ek chota poda
khareeden. Is ko “Qalam Wala Poda” bhi kehte hain. Is tarah ke poday 1 se 2
saal mein phal dena shuru kar dete hain.
Poday ko ghar lane ke baad ek bare ghamle mein laga dein.
Lekin behtar yeh hai keh poday ko zameen mein lagaya jaye.
Note: Aap khud bhi kisi achhi quality ke poday ki shakh se
qalam bana kar laga sakte hain.
Lemon Ke Poday Ki Zaroori Dekh-Bhaal
1. Nimbu Ke Poday Ko Pani Kab Dena Hota Hai?
Lemon ke poday ko pani tab dena hai jab mitti ki oper ki
satah halki halki khushk lagne lage. Zaroorat se zyada pani dene se parhez karna
hai. Zyada pani dene se poday ki jarron (roots) ko nuksan pohanch sakta hai.
Pani dene se pehle mitti ko check kar len.
2. Poday Ko Khaad Kitni Deni Hai?
Lemon ke poday ko har 2 se 3 mahine ke baad organic khaad dena
behtar hota hai. Jab poday par phool aur phal aana shuru ho jayen to zaroori
vitamins aur minerals ke liye aap liquid fertilizer bhi de sakte hain.
3. Keeron Aur Bemariyon Se Bachao Kaise Karna Hai?
Nimbu ke poday par keeron ke hamle ka khatra rehta hai. Khaas
tor par “Mealybug” aur “Aphids” jese keeray is par hamla karte hain.
In keeron se bachne ke liye “Neem Oil Spray” ka istemal
karen. Poday ko check karte rahen.
4. Lemon Ka Poda Phal Kitni Dair Mein Dene Lagta Hai?
Agar aap ne nimbu ka poda beej se ugaya hai to phal aane mein
kaafi waqt lag sakta hai. Aise podon mein aam tor par 3 se 5 saal lag sakte
hain aur kuch poday to is se bhi zyada saal laga dete hain.
Lekin, agar aap ne nursery se grafted (qalam wala) poda
khareeda hai to is par jaldi phal lagna shuru ho jata hai. Grafted podon par
taqreeban 1 se 2 saal mein hi phal lagna shuru ho jata hai.
Yeh aap ke poday ki quality par bhi depend karta hai. Kuch
poday jaldi phal dena shuru kar dete hain aur kuch poday dair se phal dena
shuru karte hain.
Note: Shuru ke saalon mein, agar aap ke poday par kuch phool
ya phal aate bhi hain to un ko tor dena behtar hota hai. Is se poday ki jarren
aur shaakhein mazboot hoti hain.
Zyada Phal Ke Liye Aasan Tips
Lemon ke poday se zyada phal haasil karne ke liye in baaton
ka khayal rakhein:
1. Dhoop
Nimbu ke poday ko rozana kam se kam 6 se 8 ghante ki seedhi
dhoop milni chahiye.
2. Mitti
Mitti aisi ho jis mein pani jama na ho sake.
3. Khaad
Poday ko waqt par khaad dena zaroori hai. Khaas kar jab phool
aane ka waqt ho.
In aasan steps par amal kar ke aap apne ghar mein lemon ka poda laga sakte hain aur apne ghar mein hi taza aur ras-bhare nimbu uga sakte hain.
0 Comments