Chameli Ka Poda (Plant) Kyun Lagaya Jata Hai?
Chameli ka poda chand mashhoor podon mein se ek hai. Chameli
ke poday par safed rang ke khushbudar phool khilte hain. Chameli ke podon ko
schools, colleges, daftaron aur gharon ke baagichon mein sajawat (decoration)
ke liye lagaya jata hai.
Chameli (Jasmine) ka poda lagana bohat hi aasan hai. Agar aap
bhi apne baagiche ya balcony mein chameli ka poda lagana chahte hain to aap ki
aasani ke liye is page par chameli ka poda lagane ka mukammal tarika roman Urdu
mein diya gaya hai.
Is aasan tareeqe par amal kar ke aap apne ghar mein hi chameli
ke khoobsurat aur khushbudar pode uga sakte hain.
Chameli Ka Poda Lagane Ke Liye Sahi Waqt
Chameli ka poda lagane ke liye sab se acha waqt basant
(spring) aur monsoon ka hota hai. Is mosam mein mosam thanda aur nam hota hai. Jis
ki wajah se naye pode jaldi jarren pakar lete hain. Is liye agar aap chameli ka
poda lagana chahte hain to is mosam mein behtar rahe ga.
Note: Shadeed sardi aur shadeed garmi ke mahino mein poda
lagane se parhez karna chahiye.
Sahi Ghamlay Aur Sahi Mitti Ka Intekhab
1. Ghamla Bara Hona Chahiye
Chameli ka poda jaldi hi barhna shuru kar deta hai. Is liye,
chameli ka poda lagane ke liye shuru mein hi thora bara ghamla choose karen.
Mitti ke ghamle behtar hote hain kyun keh in mein hawa ka guzar aasan rehta
hai. Ghamle ke neeche pani nikalne ke liye suraakh (drainage hole) zaroor hona
chahiye.
2. Bhur-Bhuri Aur Nam Mitti
Chameli ka poda lagane ke liye bhur-bhuri aur nam (moist)
mitti ka intekhab karein. Aap mitti mein patton ki khaad mila kar mitti ko mazeed
behtar bana sakte hain. Is se mitti mein ghizai ajza barh jate hain aur pani
bhi jama nahin hota.
Chameli Ki Qalam (Cutting) Se Poda Lagana
Chameli ka poda cutting se lagana sab se aasan hota hai. Is
tarah se aap chameli ke bohat se naye pode bhi tyaar kar sakte hain. Qalam se
chameli ka poda lagane ka tarika yeh hai.
1. Chameli Ki Qalam (Cutting) Tayar Karna
Sab se pehle kisi purane aur sehatmand chameli ke pode se 6
se 8 inch lambi tehni (cutting) kaat lain. Tehni aisi ho jo na zyada purani ho
aur na hi bilkul narm ho. Tehni par kam se kam 2 se 3 ganthen ya nodes (jahan
se patte nikalte hain) honi chahiye. Yeh tehni hi aap ki qalam (cutting) hai.
2. Qalam Se Patte Hatana
Is tehni ke neeche wale patte hata dein aur sirf oper ke kuch
patte rehne dain.
3. Hormone Powder Lagana (Lazmi Nahin Hai)
Agar aap ke paas “Rooting Hormone Powder” hai to tehni ke
neeche wale hisse par is powder ko laga dain. Is se jarren (roots) jaldi niklen
gi. Agar yeh powder nahin hai to pareshan na hon, is ke baghair bhi poda ug
sakta hai.
4. Qalam Ko Mitti Mein Lagana
Ab tayar shuda mitti mein is qalam (cutting) ko 2 se 3 inch tak
gehra daba dein. Ek ghamle mein sirf ek hi qalam ko lagana hai. Ab aap ki
chameli ki qalam lag chuki hai. Is qalam se hi chameli ka naya poda bane ga.
Chameli Ka Poda Lagane Ke Baad Ki Dekh-Bhaal
1. Pani
Qalam ko lagane ke baad foran pani dena hai. Chameli ke poday
ko pani pasand hota hai. Lekin zyada pani bhi nahin dena. Is se poday ki jarren
gal sakti hain. Jab mitti ki oper ki satah khushk ho jaye to pani dain.
2. Dhoop
Chameli ke pode ko din mein kam se kam 4 se 6 ghante ki
seedhi dhoop milni chahiye. Is se pode par zyada phool lagte hain.
3. Khaad
Chameli ke poday ko zyada khaad ki bilkul bhi zaroorat nahin
hoti. Poday ko lagane ke 2 se 3 mahine baad ya phool aane se pehle “Compost” ya
gobar ki khaad de deni chahiye.
4. Katai (Pruning)
Jab poda lamba ho jaye to us ki kataai karte rahna chahiye. Katai
karne se poda ghana aur sehatmand hota hai.
Chameli ke poday ko bohat zyada dekh-bhaal ki zaroorat nahin hoti.
Gulab Ka Poda Kaise Lagate Hain? | Gulab Ka Poda Lagane Ka Tarika

0 Comments