Advertisement

Dhaniya (Coriander) Ugane Ka Tarika | Apne Ghar Mein Taza Dhaniya Ugayen!

 

Dhaniya Ugane Ka Aasan Tarika

Dhaniya Ugane Ka Aasan Tarika

Har Pakistani aur Indian kitchen mein aap ko dhaniya zaroor nazar aye ga. Is ko English mein “Coriander” kehte hain.

Dhaniya khane ki khushboo aur zaiqe ko barha deta hai. Is ki khushboo aur zaiqa khanay ko char-chand laga dete hain. Agar yeh kaha jaye keh dhaniya har kitchen ki zaroorat tha, hai aur rahe ga to ghalat na ho ga.

Magar jo dhaniya aap bazaar se khareed kar laate hain wo ya to taza nahin hota ya phir jaldi kharab ho jata hai. Doosra is ko zyada dair tak store bhi nahin kiya ja sakta.

Agar aap apne khano mein hamesha taza dhaniya shaamil karna chahte hain to is ke liye aap ghar mein dhaniya uga sakte hain. Yeh surprisingly aasan hai!

Aaj hum aap ko dhaniya ugane ka mukammal tarika batayen gay.

Dhaniya Ugane Ke Liye Aap Ko Kya Kya Chahiye?

Dhaniya ugane ke liye aap ko in 5 cheezon ki zaroorat pare gi.

1. Dhaniya Ke Beej

Dhaniya ek common cheez hai. Is ke beej bohat aasani se mil jate hain. Aap kisi bhi nursery ya grocery store se dhaniya ke beej khareed sakte hain.

2. Kyari ya Gamla

Dhaniya ugane ke liye aap ke paas zameen ka ek chhota sa tukra ya kyari honi chahiye. Aap is ko gamle mein bhi uga sakte hain.

Agar aap gamle mein uga rahe hain to kam se kam 6 se 8 inch gehra gamla istemal karen jismein pani nikalne ke liye holes bhi hon. Zameen mein uga rahe hain to ek chhoti si kyari tayar karen.

3. Mitti

Dhaniya ugane ke liye jo mitti aap istemal kar rahe hon wo saaf aur zarkhaiz (fertile) honi chahiye.

4. Pani

Dhaniya ko dene ke liye taza aur saaf pani istemal karen. Hath ke sath pani ka chhirkao karen. Pani dene ke liye aap “Watering Can” ya “Spray Bottle” bhi istemal kar sakte hain.

5. Dhoop

Dhaniya ko din mein kam se kam 4 se 6 ghante ki direct dhoop ki zaroorat hoti hai. Agar aap kyari bana rahe hain to kyari aisi jagah par honi chahiye jahan par direct dhoop parti ho. Agar aap gamle mein ugana chahte hain to gamle ko kisi dhoop wali jagah par rakhein.

Note: Lekin zyada garmi wale ilaqon mein itni dhoop ki zaroorat nahin hoti.

Dhaniya Ugane Ka Step-by-Step Tarika

1. Beej Ko Tayar Karna

Dhaniya ke beej asal mein do chhotay beejon ko mila kar bante hain. In ko alag karne se beej zyada ugte hain.

Ek muthi dhaniya ke beej len. In ko kisi sakht jagah par rakh kar halke hath se rol karen taake do hisson mein toot jayen. Zyada zor se na dabayen kyun keh is se beej damage ho sakte hain.

Is ke baad in beejon ko raat bhar pani mein bhigo den. Aisa karne se beej ke ugne ka amal tez ho jata hai.

2. Gamla Ya Kyari Tayar Karna

Gamla

Agar aap gamlay mein dhaniya uga rahe hain to gamlay ke neechay pani nikalne ke holes ko check karen. Agar holes nahin hain to bana len. Gamla mitti se bhar den. Mitti ko halka halka sa daba kar level kar len.

Kyari

Agar aap ne zameen mein kyari banai hui hai to kyari mein mitti ko level kar len.

Mitti Kis Tarah Ki Honi Chahiya?

Yahan ek baat bohat ahm hai keh mitti kis tarah ki honi chahiye? Dhaniya ugane ke liye narm aur bhur-bhuri mitti behtar rehti hai. Chikni ya sakht mitti mein dhaniya achha nahin ugta. Agar mitti sakht ho to us mein thori si rait (sand) shamil kar len. Is ke ilawa is mitti mein thori si gobar ki khaad bhi shamil kar len.

Ghodi Kitni Karni Hai?

Ghodi ka matlab hota hai mitti ko naram karna, khodna ya palatna. Ye woh aml hai jis mein zameen ki oper wali teh ko bhur-bhura kiya jata hai.

Zameen ko kam az kam 6 se 8 inch tak ghodi karen. Is ka matlab yeh hai keh kyari mein mitti ko 6 se 8 inch tak narm karen. Ghodi karne se mitti narm ho jati hai aur pani ka naqas (drainage) behtar hota hai.

3. Beej Bona

Tayar shuda beejon ko mitti ki satah par phaila den. Beejon ko zyada qareeb qareeb na rakhen taake har poday ko barhne ke liye jagah milay.

Beejon ke ooper mitti ki ek bareek si teh charha den. Beejon ko bohat zyada gehra nahin bona chahiye kyun keh is se beej ko ugne mein mushkil hoti hai.

4. Pani Dena

Beej bonay ke baad mitti ko achhi tarah pani den. Spray bottle ka istemal behtar hota hai is se beej apni jagah par hi rehte hain. Aap hath ke sath bhi pani ka chhirkao kar sakte hain.

Mitti ko hamesha nam rakhne ki koshish karen. Lekin zyada pani bhi nahin dena kyun keh is se beej gal sakte hain.

Dhaniya Ugane Ke Baad Zaroori Dekh-Bhaal

1. Rozana 4 Se 6 Ghante Ki Dhoop

Dhaniya ko dhoop bohat pasand hoti hai. Matlab keh dhaniya ko dhoop ki zaroorat hoti hai. Agar aap dhaniya gamlay mein uga rahe hain to gamlay ko kisi aisi jagah par rakhen jahan din mein 4 se 6 ghante ki direct dhoop parti ho.

2. Mitti Khushk Na Ho

Mitti ko rozana check karte rahen aur jab mitti ki ooper wali satah khushk mehsoos ho to pani den. Garmiyon mein rozana pani dene ki zaroorat hoti hai.

Dhaniya Ko Ugne Mein Kitne Dinon Ka Waqt Lagta Hai?

Dhaniya ko ugne mein takreeban 7 se 14 dinon tak ka waqt lagta hai. Takreeban 7 se 14 dinon ke baad aap ko chotay chotay dhaniya ke poday nazar aana shuru ho jayen ge.

Dhaniya Ko Kab Kaat Kar Istemal Kiya Ja Sakta Hai?

Jab dhaniya ke poday 6 se 8 inch tak lambe ho jayen aur un mein kam se kam 3 se 4 patte aa jayen to aap is ko kaat kar istemal kar sakte hain.

Poday ko jar se ukharnay ki bajaye, baher walay patton ko neeche se kaat kar istemal karen. Is tarah poday dobarah barhen gay aur aap kai hafton tak taza dhaniya hasil kar saken ge. 

Dhaniya Ugane Ke Liye Zaroori Maloomat

Dhaniya ugane ke liye behtareen samay ya time October se February tak hota hai. Dhaniya thande mosam mein achha ugta hai. Garmiyon mein dhaniya jaldi beej banata hai.

Dhaniya Ugane Ke Liye Tips

  • Regular katayi karne se dhaniya ke poday mazeed patte nikaalte hain.
  • Har 2 se 3 hafton mein thore thore beej bone se aap ko saal bhar taza dhaniya milta rahe ga.
  • Dhaniya ko bohat zyada khaad ki zaroorat nahin hoti. Agar aap ki mitti achhi hai to khaad ki koi zaroorat nahin.

Ghar Mein Taza “Podina” Ugane Ka Aasan Tarika

Post a Comment

0 Comments