Urea Khaad Kya Hai? | Fayde Aur Nuqsanaat | Istemal Ka Tarika

 

Urea Khaad Ke Fayde Aur Nuqsanaat

Urea khaad Pakistan mein sab se zyada istemal ki jane wali chemical khaad (fertilizer) hai. Is khaad mein 46% Nitrogen hoti hai jo podon ki achi growth ke liye bohot zaroori mani jati hai.

Urea Khaad Kya Hai?

Urea ek safed aur danay-daar khaad hoti hai. Yeh Nitrogen faraham karti hai. Yeh khaad podon ko hara-bhara kar deti hai. Yeh podon ke patton ko mazboot karti hai aur podon ki growth ko tez karti hai. Nitrogen ke baghair podon ki rangat peeli ho jati hai aur poday kamzor ho jate hain. Podon ke patte bhi chhote reh jate hain.

Urea Khaad Ke Fayde Kya Hain?

1. Podon Ki Tez Growth

Urea khaad podon ko Nitrogen faraham karti hai jis se podon ki growth bohot tez ho jati hai.

2. Podon Ko Hara Bhara Rakhti Hai

Agar podon ki rangat peeli ho rahi ho to urea khaad in ko dobara hara kar deti hai.

3. Sasti Khaad Hai

Urea khaad Pakistan ke har ilaqe mein mil jati hai aur urea khaad ki qeemat (price) bhi zyada nahin hoti. Yeh ek sasti khaad hai.

4. Zyada Phal Aur Paidawar

Nitrogen ki wajah se faslon ki paidawar mein izafa hota hai. Urea khaad ke istemal se fasal ke phal mein numayan izafa hota hai.

Urea Khaad Ko Istemal Karne Ka Tarika

1. Mitti Mein Milana

Urea khaad ko hamesha mitti mein mila kar daalna chahiye taa ke khaad mein mojood Nitrogen hawa mein na ure.

2. Pani Dena Zaroori Hota Hai

Urea khaad daalne ke baad zameen ko pani dena bohot zaroori hota hai. Pani na dene ki wajah se poday jal bhi sakte hain.

3. Zyada Urea Khaad Ka Nuqsan

Agar urea khaad zyada daal di jaye to fayde ki jagah nuqsan bhi ho sakta hai. Zyada urea khaad ki wajah se poday jal sakte hain.

4. Mosam Ka Khayal Rakhna

Garmiyon ke dino mein doop mein urea khaad daalne se nitrogen hawa mein ur jati hai. Is liye garmiyon mein subah ya sham ke waqt urea khaad daalna behtar hota hai.

Urea Khaad Kab Daalni Chahiye?

  • Beej se poda nikalne ke waqt (planting time).
  • Phool ya phal lagne se pehle.
  • Jab poday peele par rahe hon.
  • Jab podon ki growth ruk rahi ho 

Urea Khaad Kin Faslon Ke Liye Behtar Hoti Hai?

1. Gandum (Wheat)

2. Chawal

3. Makai (Corn)

4. Ganna (Sugarcane)

5. Sabziyan (Vegetables)

Khaas tor par:

  • Palak
  • Saag
  • Bandgobi
  • Methi
  • Hara Dhaniya
  • Hara Piyaz
  • Mirch
  • Tamatar (limited amount)

7. Phal-Daar Darakht (Limited Use)

Kin Faslon Mein Urea Khaad Kam Istemal Hoti Hai?

  • Daalein (Moong, Mash, Masoor)
  • Aloo
  • Piyaz

Urea Khaad Ke Nuqsanaat Kya Hain?

1. Mitti Ki Quality Kam Ho Jati Hai

Zyada urea khaad daalne se mitti mein Nitrogen ki miqdar zyada hone ki wajah se mitti ki quality kam hoti jati hai.

2. Podon Ke Jalne Ka Khatra

Urea khaad ke direct podon ki pattiyon par parhne se ya zyada miqdar mein urea khaad daalne se podon ke jalne ka khatra paida ho jata hai.

3. Pani Ki Zaroorat Barh Jati Hai

Urea khaad daalne ke baad pani dena zaroori hota hai. Pani na dene ki soorat mein podon ko nuqsan pohanch sakta hai.

4. Mahol (Environment) Ko Nuqsan

Hawa mein nitrogen ke urne se maholiyati aloodgi mein bhi izafa hota hai.

Tip: Urea khaad ko 15 din ke gap se istemal karein.

DAP Khaad Ka Istemal | Fayde aur Nuqsanaat | DAP Fertilizer

Post a Comment

0 Comments