Amrood ko English mein “Guava” kaha jata hai. Yeh ek mashhoor,
mazaydar aur sehat bakhsh phal hota hai jo garam ilaqon mein aasani se ugaya ja
sakta hai.
Amrood ke poday ko ugane ke liye zyada mehnat ki zaroorat nahin
hoti. Aap is ko kam pani aur zyada dhoop wali jagah par bhi uga sakte hain.
Agar aap apne ghar ya baagh mein Amrood ka poda lagana chahte
hain to yeh aasan tarika aap ki bohat madad kare ga.
Amrood Ka Poda Beej Se Ugaya Jata Hai Ya Cutting Se?
Amrood ka poda aap beej (seed) se bhi uga sakte hain aur is
ki qalam (cutting) bhi laga sakte hain.
1. Beej Se Poda Ugana
Amrood ka beej aasani se bazar se mil jata hai is ke ilawa
aap kisi pakay hue amrood ke beej bhi istemal kar sakte hain.
Amrood ke beej ko bone se pehle 24 ghante tak pani mein bhigo
diya jata hai. Phir is ke baad is beej ko mitti mein bo diya jata hai.
2. Cutting Se Poda Ugana
Agar aap Amrood ke poday ki qalam lagana chahte hain to phir 6
se 8 inch lambi Amrood ki ek tehni (branch) kaat lein. Is tehni par halka sa Rooting
Powder, agar ho to, lagayein. Is ke baad is tehni ko mitti mein laga dein.
Note: Cutting ka tarika zyada tezi se phal dene wala hota
hai.
Amrood Ka Poda Ugane Ke Liye Mitti Kesi Ho?
Amrood ka poda ugane ke liye halki aur zarkhaiz (fertile)
mitti zaroori hoti hai. Mitti mein thori si organic khaad (compost) mila dein.
Is ke ilawa zameen ko achhi tarah khod kar hawa daar bana dein taa ke poday ki
jarren aasani se phail saken.
Amrood Ka Poda Kesi Jagah Par Ugana Chahiye?
Amrood ke poday ko dhoop bohot pasand hoti hai. Is liye
Amrood ke poday ko kisi aisi jagah par ugayen jahan rozana 6 se 8 ghante tak dhoop
aati ho.
Agar aap gamlay mein lagana chahte hain to 20 se 25 inch ka
bara gamla istemal karein.
Amrood Ke Poday Ke Liye Zaroori Dekh-Bhaal
1. Pani
Garmi ke mosam mein har 2 din ke baad pani dein. Sardiyon mein haftay mein sirf 1 ya 2 dafa pani dena kafi hota hai.
2. Khaad
Har 2 mahine ke baad poday ko organic khaad (jaise gobar ya compost) daalte rahein. Kachre ya chemical khaad ka zyada istemal na karein.
Note: Har 6 mahine ke baad halki halki katayi karte rahein.
Amrood Ke Poday Par Phal Kitni Dair Baad Lagta Hai?
Amrood ka poda lagane ke 2 se 3 saal baad phal dena shuru kar deta hai. Agar poda qalam (cutting) se lagaya gaya ho to phal lagna 1.5 saal mein bhi shuru ho sakta hai.
Kya Amrood Ke Podon Par Keray Hamla Karte Hain?
Amrood ke podon par kabhi kabhi Aphids ya Fruit Flies ka hamla
hota hai. Is hamle se bachne ke liye Neem Spray ya neem oil ka istemal karein.
Ehtiyat ke tor par zameen ko saaf rakhein aur sookhay hue pattay hata dein.

0 Comments