Money Plant Kya Hai?
Money plant gharon aur offices mein lagaya jane wala sab se
mashhoor poda hai. Is poday ko lagana bohat aasan hota hai aur yeh kam roshni
aur kam dekh-bhaal mein bhi achhi tarah se growth kar leta hai.
Log ghar ya daftar ki khoobsurti barhane aur hawa ko saaf rakhne
ke liye is poday ko lagate hain. Is article mein hum aap ko money plant lagane
ka sahi aur aasan tarika step-by-step batayen ge.
Money Plant Ke Fayde Kya Hain?
1. Dekh-Bhaal Karna Aasan Hai
Money plant ki dekh-bhaal karna bohat aasan hota hai. Is
poday ko sardiyon mein 2 se 3 haftay ke baad aur garmiyon mein 7 se 10 din ke baad
pani dena kaafi hota hai. Zyada pani dene se is ki jarren kharab ho sakti hain.
2. Hawa Ko Saaf Karta Hai
Money plant ghar ki hawa ko saaf karne mein madad karta hai.
Yeh poda hawa mein mojood nuqsan-deh gases ko kam karta hai aur ghar mein
oxygen barqarar rakhta hai. Kuch reports ke mutabiq yeh poda raat ke waqt bhi
oxygen kharij karta hai lekin is par mazeed scientific tehqeeq ki zaroorat hai.
3. Aquarium Ka Pani Saaf Rakhta Hai
Money plant ko “Aquarium” mein bhi ugaya ja sakta hai. Is ki
jarren pani ke neeche aur patay pani se bahir rehte hain. Yeh poda pani se “Nitrates”
absorb karta hai jis se “Fishing Tank” ka pani bilkul saaf rehta hai.
4. Stress Aur Tension Kam Karta Hai
Podon ko dekhna aur un ke qareeb waqt guzarna dimagh ko sukoon deta hai. Tehqeeq ke mutabiq money plant dekhne se anxiety aur stress kam hota hai
5. Radiation Ko Kam Karne Mein Madad
Kuch log mante hain ke money plant mobile, WiFi router aur
computer se nikalne wali nuqsan-deh radiation ko absorb karta hai. Is ke
mutaliq koi scientific saboot nahin hai lekin gharelo sukoon ke liye log is poday
ko qareeb rakhte hain.
6. Sasta Aur Aasan Tohfa
Money plant kam qeemat mein mil jata hai aur aasani se lag bhi
jata hai. Is ko cutting se bhi ugaya ja sakta hai. Is liye money plant ko tohfay
ke tor par bhi diya ja sakta hai.
7. Ghar Ko Khoobsurat Banata Hai
Money plant ke chamak-dar harray patay ghar aur daftar ko khoobsurat
bana dete hain. Yeh poda table, shelf ya hanging basket mein bohat khoobsurat
lagta hai.
Money Plant Lagane Ka Sahi Tarika
Money Plant Ki Cutting Banana
Money plant ki kisi sehatmand bail se 4 se 6 inch tak lambi ek
tehni (cutting) kaat lein. Is tehni mein kam-az-kam 2 nodes (ganth) honi
chahiye. Is tehni ko money plant ki qalam kaha jata hai.
Money Plant Ko Pani Ya Mitti Mein Lagana
Aap money plant ki qalam (cutting) ko pani mein bhi laga
sakte hain aur mitti mein bhi laga sakte hain.
1. Pani Mein Lagane Ka Tarika
Ek bottle ya glass mein saaf pani bhar lein aur money plant
ki qalam ko us mein rakh dein. Is baat ka khayal rakhein ke qalam ki ganth
(node) pani ke andar ho. Har 3 se 4 din ke baad pani ko badalna zaroori hai
taake jaraseem paida na hon aur jarrein behtar tareeqe se ug sakein.
2. Mitti Mein Lagane Ka Tarika
Ek chhota ghamla ya glass lein aur usay naram aur zarkhez
mitti se bhar dein. Ab money plant ki qalam ko 1 se 2 inch tak mitti mein laga
dein aur halka sa pani de dein. Ghamlay ko kisi aisi jagah par rakhein jahan
roshni ho magar tez dhoop na ho.
Money Plant Kitne Dinon Mein Ugna Shuru Karta Hai?
Money plant ka poda aam tor par 7 se 15 din ke andar ugna
shuru ho jata hai. Lekin yeh waqt kuch cheezon par bhi depend karta hai jese
keh cutting, mosam, ghamla, bottle aur pani waghera.
- Pani Mein Lagane Par
Aksar 7 se 10 din mein chhoti jarrein (roots) nikal aati
hain.
- Mitti Mein Lagane Par
Thora zyada waqt lag sakta hai lekin aam tor par 10 se 15 din
mein jarrein ban jati hain.
Money Plant Ki Dekh-Bhaal
1. Direct Dhoop Pasand Nahin
Money plant ko direct dhoop se bachana hai. Yeh poda indirect
dhoop ko pasand karta hai. Is ke liye is poday ko khirki ke paas ya balcony mein
saye wali jagah par rakha ja sakta hai.
2. Sirf 2 Baar Pani Dena Hai
Is poday ko zyada pani ki zaroorat nahin hoti. Is ke liye haftay
mein sirf 2 baar pani kafi hota hai. Mitti sirf halki nami wali honi chahiye. Zyada
pani dene se is ki jarron ko nuqsan pohanch sakta hai.
3. Mosam
Money plant normal temperature mein zyada growth karta hai.
Yeh poda sardi aur garmi dono bardasht kar leta hai.
4. Money Plant Ki Care Ke Liye Tips
- Peelay patay kaat dein.
- Zaroorat se zyada pani na dein.
- Mahine mein ek baar organic khaad dein.
- Bail ki trimming karte rahen.
- Patton ko dust se saaf rakhein.
Money plant ko lagana bohat hi aasan hai. Bas ek sehatmand
cutting lein, pani ya mitti mein lagayein, direct dhoop se bachayein aur hafte
mein do martaba pani dein. Thori si dekh-bhaal se aap ka money plant tezi se
growth kare ga.
Ahm Sawal Jawab (FAQs)
1. Kya money plant pani mein hi hamesha reh sakta hai?
Ji haan, magar 10 se 15 din ke baad pani ko tabdeel karna
zaroori hota hai.
2. Money plant ko direct dhoop lagani chahiye?
Nahin, direct dhoop mein patay jal sakte hain.
3. Money plant ko ghar mein kahan rakhna chahiye?
Money plant ko khirki ke paas ya kisi saye wali jagah par rakhna behtar hota hai.
Snake Plant Lagane Ka Sahi Tarika | Full Information in Urdu

0 Comments