Punjab ke ilaqe mein taqreeban October se le kar April tak khaiton
mein peele peele rang ke phool nazar aate hain. Door se dekhne par bilkul aise
lagta hai jese kisi ne phoolon ka baagh lagaya ho. Agar aap ne yeh manzir
barah-e-raast nahin dekha to filmon aur gaanon mein to zaroor dekha ho ga.
Haqeeqat mein yeh koi baagh nahin hota balke yeh phool sarson
ke podon ke oper lage hote hain.
Sarson Ko Kyun Ugaya Jata Hai?
Punjab mein sarson ko buniyadi tor par 3 maqasid ke liye
ugaya jata hai.
- Sarson ka tail hasil karne ke liye.
- Sarson ke podon ko janwaron ke chaare mein istemal kiya jata hai.
- Log sarson ka saag bana kar khate hain.
Kya Sarson Ke Podon Ko Ghar Par Ugaya Ja Sakta Hai?
Ji haan, sarson ke podon ko ghar par aasani ke sath ugaya ja
sakta hai. Sarson ki fasal bohat jald tayyar ho jati hai aur zyada dekh-bhaal
ki bhi zaroorat nahin hoti.
Sarson Ke Podon Ko Ghar Par Kyun Ugana Chahiye?
Sarson ke podon ko ghar par ugane ke 2 fayde hote hain. Pehla
sarson ke podon par lagne wale phool aap ke baagiche ki khoobsurati mein izafa
karte hain aur doosra aap sarson ka taza saag bana kar kha sakte hain.
Sarson Ugane Ke Liye Kin Cheezon Ki Zaroorat Hoti Hai?
Sarson ke podon ko ghar par ugane ke liye buniyadi tor par in
4 cheezon ki zaroorat hoti hai.
- Sarson Ka Beej
- Jagah
- Gobar Ki Khad
- Pani
Ghar Par Sarson Ugane Ka Tarika Kya Hai?
Ghar par sarson ugane ke liye in steps par amal karen.
1. Kiyari Banana
Sab se pehle aap ne ek kiyari banani hai. Kiyari aisi jagah
par banani hai jahan mitti zyada sakht na ho aur din ke waqt kam-z-kam 5 se 6
ghante doop parti ho.
Kiyari is tarah se banani hai keh pani kiyari se bahir na ja
sake. Is ke liye aap ne kiyari ke charon taraf mitti ya eenton ki madad se
choti choti rukawat bana leni hai.
| Sarson Ugane Ke Liye Kiyari |
2. Mitti Tayyar Karna
Sarson ugane ke liye zarkhez aur naram mitti ki zaroorat hoti
hai. Ab aap ne rambi ya kahi ki madad se kiyari ke andar mitti ko 2 se 3 inch
gehrai tak tor kar naram karna hai. Is ko “Godi Karna” kaha jata hai.
Mitti ko naram karne ke baad is mein Gobar ki khaad daalni
hai. Agar mitti sakht ho to is mein thori rait (sand) bhi shamil ki ja sakti
hai. Khaad daalne ke baad mitti aur khaad ko mix kar lena hai. Ab aap ne mitti
ki satah ko bilkul barabar kar lena hai.
Agar aap ne bahir se mitti la kar kiyari mein daalni hai to
phir mitti, gobar ki khaad aur rait ko is hisaab se mix karna hai.
- Mitti 50 %
- Gobar Ki Khaad 30 %
- Rait 20 %
3. Pani Lagana
Ab aap ne kiyari ko pani se bhar dena hai. Pani ko kiyari
mein jama karna hai aur is baat ka khayal rakhna hai keh pani kahin se bahir na
nikal raha ho.
4. Beej Bona
Jab kiyari pani se bhar jaye aur is baat ka yaqeen ho jaye
keh pani bahir nahin nikal raha balke bilkul saakat (still) khara hai to aap ne
beej bo dena hai.
5. Beej Bone Ka Tarika
Sarson ke beej ke bohat chote chote dane hote hain. Is liye
sarson ka beej bohat ehtiyat se boya jata hai.
Aap ne sarson ka beej muthi mein le kar kiyari ke ek kinare
se doosre kinare ki taraf girate hue jana hai. Is tarah aap ne beej ko qitaaron
(rows) mein bona hai. Ek se doosri qitaar ke darmiyan 1 feet ka faasla rakhna
hai.
Beej girate waqt kiyari mein pani khara hona chahiye aur beej
ko is tarah se girana hai keh ek jagah par sirf 1 ya 2 beej ke dane giren. Beej
girate hue darmiyan mein thora thora faasla bhi rakhna hai.
Note: Kiyari mein beej ka chhirkao bhi kiya ja sakta hai. Yeh
tarika aasan hai.
Beej Se Poday Kitne Dinon Ke Baad Nikalte Hain?
Sarson ke beej se 3 se 4 din ke baad poday ugna shuru ho jate
hain.
Zaroori Dekh-Bhaal
1. Pani
Pani zyada nahin dena. Sarson ke podon ko rozana pani ki
zaroorat nahin hoti. Ek dafa kiyari bhar dene ke baad, doosri dafa pani us waqt
dena hai jab mitti khushk hona shuru ho jaye.
2. Khaad
Sarson ke podon ke liye zyada behtar gobar ki khaad hoti hai.
Lekin aap chemical khaad ka istemal bhi kar sakte hain. Magar bilkul thori
miqdaar mein.
Sarson ke poday ugne ke 15 se 20 dinon ke baad kiyari mein
pani laga kar halka halka khaad ka chhirkao kiya ja sakta hai.
3. Jari-Booti
Sarson ke podon ke sath aksar ghair-zaroori poday ugne lagte
hain. In podon ko kiyari mein nahin ugne dena aur kiyari ko saaf rakhna hai.
4. Bemari ya Keeray
Sarson ke podon ko bemari ya keeray lagne ka khatra kam hota
hai. Lekin phir bhi kiyari mein safai ka khayal rakhna chahiye aur hafte mein
taqreeban 1 dafa gobar ki rakh ka chhirkao kar dena chahiye.
Sarson Ke Podon Par Kitne Din Ke Baad Phool Lagte Hain?
Aam tor par sarson ke podon par 40 se 50 din ke baad phool
lagna shuru ho jate hain. Lekin mosam aur dekh-bhaal ke mutabiq yeh waqt kam ya
zyada ho sakta hai.
Natija:
Sarson ke podon ko ugana bohat hi aasan hota hai. Sarson ke
podon ko kiyari mein bhi ugaya ja sakta hai aur gamlay mein bhi. Sarson ke
poday ghar par ugane se na sirf aap ka baagicha hara-bhara ho jata hai balke
aap sarson ka taza saag bhi bana kar kha sakte hain.

0 Comments